ye kis Dagar pe apna muqaddar hai aaj-kal
ye kis Dagar pe apnā muqaddar hai āj-kal
apne hī haq meñ apnā sitamgar hai āj-kal
gir jaa.e kab ye jism kī dīvār kyā kaheñ
ukhḌā sā saañs saañs kā patthar hai āj-kal
ab dekhnā hai shahr meñ kis kis kā sar uḌe
qātil havā ke haath meñ ḳhanjar hai āj-kal
zaḳhmoñ ke chāñd dard ke sūraj ġhamoñ kī dhuup
bastī hamāre dil kī munavvar hai āj-kal
saḌkoñ pe maut phirtī hai nangā badan liye
ghar ghar ajab hirās kā manzar hai āj-kal
ham justujū meñ nikle haiñ dariyāoñ kī 'nazīr'
aur gird-o-pesh pyaas kā lashkar hai āj-kal
ye kis Dagar pe apna muqaddar hai aaj-kal
apne hi haq mein apna sitamgar hai aaj-kal
gir jae kab ye jism ki diwar kya kahen
ukhDa sa sans sans ka patthar hai aaj-kal
ab dekhna hai shahr mein kis kis ka sar uDe
qatil hawa ke hath mein KHanjar hai aaj-kal
zaKHmon ke chand dard ke suraj ghamon ki dhup
basti hamare dil ki munawwar hai aaj-kal
saDkon pe maut phirti hai nanga badan liye
ghar ghar ajab hiras ka manzar hai aaj-kal
hum justuju mein nikle hain dariyaon ki 'nazir'
aur gird-o-pesh pyas ka lashkar hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.