ye kis Dar se nikala ja raha hai
ye kis Dar se nikālā jā rahā hai
mujhe ghar se nikālā jā rahā hai
jo manzar ko numāyāñ kar rahā thā
vo manzar se nikālā jā rahā hai
use dīvār se laayā gayā hai
mujhe dar se nikālā jā rahā hai
chubhā thā jo mire paañv meñ kāñTā
mire sar se nikālā jā rahā hai
sunā hai phir kisī dariyā kā malba
samundar se nikālā jā rahā hai
ye kis Dar se nikala ja raha hai
mujhe ghar se nikala ja raha hai
jo manzar ko numayan kar raha tha
wo manzar se nikala ja raha hai
use diwar se laya gaya hai
mujhe dar se nikala ja raha hai
chubha tha jo mere panw mein kanTa
mere sar se nikala ja raha hai
suna hai phir kisi dariya ka malba
samundar se nikala ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.