ye kis ke husn ki jalwagari hai
ye kis ke husn kī jalvagarī hai
jahāñ tak dekhtā huuñ raushnī hai
agar hote nahīñ hassās patthar
tirī āñkhoñ meñ ye kaisī namī hai
yaqīñ uTh jaa.e apne dast-o-pā se
usī kā naam logo ḳhud-kushī hai
agar lamhoñ kī qīmat jaan jaa.eñ
har ik lamhe meñ poshīda sadī hai
tujhe bhī muñh ke bal girnā paḌegā
abhī to sar se Topī hī girī hai
ta.alluq tujh se rakh kar itnā samjhe
hamārī saañp se bhī dostī hai
ye kis ke husn ki jalwagari hai
jahan tak dekhta hun raushni hai
agar hote nahin hassas patthar
teri aankhon mein ye kaisi nami hai
yaqin uTh jae apne dast-o-pa se
usi ka nam logo KHud-kushi hai
agar lamhon ki qimat jaan jaen
har ek lamhe mein poshida sadi hai
tujhe bhi munh ke bal girna paDega
abhi to sar se Topi hi giri hai
talluq tujh se rakh kar itna samjhe
hamari sanp se bhi dosti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.