ye kis ke nam se raushan tha goshwara-e-shab
ye kis ke naam se raushan thā goshvāra-e-shab
ki āsmāñ pe laraztā rahā sitāra-e-shab
tamām rū-e-nigārīñ dil-o-dar-o-dīvār
ki yād-e-mehr-e-nazar hāsil-e-ḳhasārā-e-shab
ḳhushā vo sarḳhushī-e-sā.at-e-shab-dīdār
kujā faroġh-e-mah-o-mai kujā nazāra-e-shab
shab-e-ġham-o-bar-e-shīrīn-e-jāñ salām tujhe
ḳhayāl abr se niklā hai māh-pāra-e-shab
nazar ulajhtī rahī ḳhāl-o-zulf se tā-der
samajh meñ aa gayā mafhūm-e-isti.āra-e-shab
firāq-e-yār se begānagī nahīñ sābit
ḳhayāl-e-vasl bhī hogā jo ho ishāra-e-shab
ye kis ke nam se raushan tha goshwara-e-shab
ki aasman pe larazta raha sitara-e-shab
tamam ru-e-nigarin dil-o-dar-o-diwar
ki yaad-e-mehr-e-nazar hasil-e-KHasara-e-shab
KHusha wo sarKHushi-e-saat-e-shab-didar
kuja farogh-e-mah-o-mai kuja nazara-e-shab
shab-e-gham-o-bar-e-shirin-e-jaan salam tujhe
KHayal abr se nikla hai mah-para-e-shab
nazar ulajhti rahi KHal-o-zulf se ta-der
samajh mein aa gaya mafhum-e-istiara-e-shab
firaq-e-yar se beganagi nahin sabit
KHayal-e-wasl bhi hoga jo ho ishaara-e-shab
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 56)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.