ye kis ke naqsh aaine mein ubhre ye kaun rahat hai jhilmilai
ye kis ke naqsh aa.ine meñ ubhre ye kaun rāhat hai jhilmilā.ī
ki us kā jaadū junūñ meñ ghulte huoñ ko behāl kar gayā hai
hamāre hisse meñ laao de do tamām vahshat vo sab aziyyat
tumhāre hāthoñ meñ jo thamā kar koī na jaane kidhar gayā hai
tumheñ kisī zaḳhm kī ḳhabar tak na deñge ham ki azīz-e-jāñ ho
na ye batā.eñge sukh kā dariyā tabāh kar ke utar gayā hai
hamārī hālat kā kyā Thikāna ki dil se baḌh kar thā ġham tumhārā
magar ai mahtāb husn terā batā ki kaise bikhar gayā hai
shumār tāroñ kā mat karo tum gino nahīñ ab ye bahte aañsū
jo dard thā ab vo miT chukā hai jo zaḳhm thā ab vo bhar gayā hai
vo ek hasrat jo dil ke andar ḳhudā banī thī nahīñ rahī hai
vo sabr thā jo ġhurūr-e-hastī qasam ḳhudā kī vo mar gayā hai
ye kis ke naqsh aaine mein ubhre ye kaun rahat hai jhilmilai
ki us ka jadu junun mein ghulte huon ko behaal kar gaya hai
hamare hisse mein lao de do tamam wahshat wo sab aziyyat
tumhaare hathon mein jo thama kar koi na jaane kidhar gaya hai
tumhein kisi zaKHm ki KHabar tak na denge hum ki aziz-e-jaan ho
na ye bataenge sukh ka dariya tabah kar ke utar gaya hai
hamari haalat ka kya Thikana ki dil se baDh kar tha gham tumhaara
magar ai mahtab husn tera bata ki kaise bikhar gaya hai
shumar taron ka mat karo tum gino nahin ab ye bahte aansu
jo dard tha ab wo miT chuka hai jo zaKHm tha ab wo bhar gaya hai
wo ek hasrat jo dil ke andar KHuda bani thi nahin rahi hai
wo sabr tha jo ghurur-e-hasti qasam KHuda ki wo mar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.