ye kis KHayal ki maujudgi satati hai
ye kis ḳhayāl kī maujūdgī satātī hai
mire vajūd meñ ik shaam Dhaltī jaatī hai
ye rah-guzar jo tirī samt le ke jaatī hai
isī ke biich kahīñ gumrahī bhī aatī hai
hamesha der se khultā hai kyoñ zamāne par
vo rāsta jise āvārgī banātī hai
kise tamīz jo rangoñ ko chakh ke batlā.e
ye aañkh hai jo sabhī zā.iqe batātī hai
vo ro paḌe to shajar us ke saath rote haiñ
vo hañs paḌe to sabā tāliyāñ bajātī hai
usī se dasht kī āb-o-havā salāmat hai
vo ik adā jo tire vahshiyoñ ko aatī hai
ye kis KHayal ki maujudgi satati hai
mere wajud mein ek sham Dhalti jati hai
ye rah-guzar jo teri samt le ke jati hai
isi ke bich kahin gumrahi bhi aati hai
hamesha der se khulta hai kyon zamane par
wo rasta jise aawargi banati hai
kise tamiz jo rangon ko chakh ke batlae
ye aankh hai jo sabhi zaiqe batati hai
wo ro paDe to shajar us ke sath rote hain
wo hans paDe to saba taliyan bajati hai
usi se dasht ki aab-o-hawa salamat hai
wo ek ada jo tere wahshiyon ko aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.