ye kis ko aaya KHayal mera ye main kise yaad aa raha hun
ye kis ko aaya ḳhayāl merā ye maiñ kise yaad aa rahā huuñ
jigar kī be-tābiyoñ meñ kuchh kuchh sukūn sā aaj pā rahā huuñ
ye māh-o-anjum ye nuqra.ī shab ye muskurāhaT ye jagmagāhaT
ye kis kī ulfat ke haiñ karishme ki har taraf husn pā rahā huuñ
tumheñ mubārak tumhārī mahfil yahāñ se uktā gayā mirā dil
mire irāde raheñ salāmat maiñ apnī manzil pe jā rahā huuñ
ye kunj-e-hastī ye maut kā ghar ye dil ke naġhme nashāt-parvar
fanā kī masnad pe baiTh kar bhī hayāt kā lutf uThā rahā huuñ
tū merī tasvīr-e-ḳhāna-e-dil kī turfa-kārī to dekhtā jā
ye kis kī sūrat kā aks le kar maiñ apnī sūrat banā rahā huuñ
ye kyā ḳhabar dair hai ki ka.aba yahāñ to hai abdiyat kā saudā
kiyā hai tū ne jahāñ ishāra vahīñ sar apnā jhukā rahā huuñ
ye shab kā haijāñ-navāz aalam na koī monis na koī hamdam
to phir kise maiñ fasāna-e-ġham sisak sisak kar sunā rahā huuñ
maiñ us jagah huuñ muqīm 'turfa' qadam qadam par jahāñ hai fitna
magar ḳhudā hai mirā muhāfiz ki aaj tak muskurā rahā huuñ
ye kis ko aaya KHayal mera ye main kise yaad aa raha hun
jigar ki be-tabiyon mein kuchh kuchh sukun sa aaj pa raha hun
ye mah-o-anjum ye nuqrai shab ye muskurahaT ye jagmagahaT
ye kis ki ulfat ke hain karishme ki har taraf husn pa raha hun
tumhein mubarak tumhaari mahfil yahan se ukta gaya mera dil
mere irade rahen salamat main apni manzil pe ja raha hun
ye kunj-e-hasti ye maut ka ghar ye dil ke naghme nashat-parwar
fana ki masnad pe baiTh kar bhi hayat ka lutf uTha raha hun
tu meri taswir-e-KHana-e-dil ki turfa-kari to dekhta ja
ye kis ki surat ka aks le kar main apni surat bana raha hun
ye kya KHabar dair hai ki kaba yahan to hai abdiyat ka sauda
kiya hai tu ne jahan ishaara wahin sar apna jhuka raha hun
ye shab ka haijaan-nawaz aalam na koi monis na koi hamdam
to phir kise main fasana-e-gham sisak sisak kar suna raha hun
main us jagah hun muqim 'turfa' qadam qadam par jahan hai fitna
magar KHuda hai mera muhafiz ki aaj tak muskura raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.