ye kis liye hai tu itna udas darwaze
ye kis liye hai tū itnā udaas darvāze
pahan liyā hai jo kaalā libās darvāze
tū shām-rañg huā jā rahā hai sub.h se kyuuñ
jhalaktī hai tirī sūrat se yaas darvāze
nihārte ho ye kis kis ko nīm-vā ho kar
parā.e des meñ kaisī ye aas darvāze
hinā.ī haath ke vo lams chhin ga.e jin se
bane hue haiñ sarāpā sipās darvāze
makīñ makāñ meñ na hogā to phir kahāñ hogā
yahīñ kahīñ hai tire ās-pās darvāze
libās aur hai lekin maiñ koī aur nahīñ
mujhe tū bhuul gayā rū-shanās darvāze
mujhe bhī hairat-o-'hasrat' ne but banā Daalā
tujhe bhī zindagī aa.ī na raas darvāze
ye kis liye hai tu itna udas darwaze
pahan liya hai jo kala libas darwaze
tu sham-rang hua ja raha hai subh se kyun
jhalakti hai teri surat se yas darwaze
nihaarte ho ye kis kis ko nim-wa ho kar
parae des mein kaisi ye aas darwaze
hinai hath ke wo lams chhin gae jin se
bane hue hain sarapa sipas darwaze
makin makan mein na hoga to phir kahan hoga
yahin kahin hai tere aas-pas darwaze
libas aur hai lekin main koi aur nahin
mujhe tu bhul gaya ru-shanas darwaze
mujhe bhi hairat-o-'hasrat' ne but bana Dala
tujhe bhi zindagi aai na ras darwaze
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.