ye kis maqam pe le aai mujhko tanhai
ye kis maqam pe le aai mujhko tanhai
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
ye kis maqām pe le aa.ī mujh ko tanhā.ī
ki apne saath bhī ik pal nahīñ rahā jaatā
maiñ tez dhuup meñ raazī thā baiThne ke liye
vo merā saayā agar oḌhne ko aa jaatā
ye rāhgīr mire shahr kā nahīñ varna
mire makān meñ patthar to pheñktā jaatā
ab us ke lauTne kī aas chhoḌ dī maiñ ne
ab apne aap ko dhokā nahīñ diyā jaatā
agar maiñ raushnī se qurbateñ nahīñ rakhtā
to merā saayā mujhe chhoḌ kar chalā jaatā
phir ik ḳhayāl ne ghuTne pakaḌ liye varna
maiñ apne aap se bāhar nikal ke aa jaatā
ye kis maqam pe le aai mujh ko tanhai
ki apne sath bhi ek pal nahin raha jata
main tez dhup mein raazi tha baiThne ke liye
wo mera saya agar oDhne ko aa jata
ye rahgir mere shahr ka nahin warna
mere makan mein patthar to phenkta jata
ab us ke lauTne ki aas chhoD di main ne
ab apne aap ko dhoka nahin diya jata
agar main raushni se qurbaten nahin rakhta
to mera saya mujhe chhoD kar chala jata
phir ek KHayal ne ghuTne pakaD liye warna
main apne aap se bahar nikal ke aa jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.