ye kis muhim par chale the hum jis mein raste pur-KHatar na aae
ye kis muhim par chale the hum jis mein raste pur-KHatar na aae
Aleena Itrat
MORE BYAleena Itrat
ye kis muhim par chale the ham jis meñ rāste pur-ḳhatar na aa.e
hameñ navāzā na vahshatoñ ne hameñ junūñ ke hunar na aa.e
mujhe bahut tez dhuup darkār hai mohabbat ke is safar meñ
kabhī kahīñ sar pe saaya karne koī ghanerā shajar na aa.e
añdherī shab kā ye ḳhvāb-manzar mujhe ujāloñ se bhar rahā hai
to raat itnī tavīl ho jaa.e tā-qayāmat sahar na aa.e
jahāñ hoñ terī hī raunaqeñ aur tire nazāre hī chāroñ jānib
us anjuman kā patā batā de jahāñ se merī ḳhabar na aa.e
jo lauT aa.e koī safar se to phir musāfir kahāñ rahā vo
vahī musāfir hai jo safar meñ hai aur kabhī lauT kar na aa.e
vo āsmānoñ meñ rahne vaalā sunegā ik din tirī 'alīnā'
sadā ko apnī buland rakh tū duā meñ jab tak asar na aa.e
ye kis muhim par chale the hum jis mein raste pur-KHatar na aae
hamein nawaza na wahshaton ne hamein junun ke hunar na aae
mujhe bahut tez dhup darkar hai mohabbat ke is safar mein
kabhi kahin sar pe saya karne koi ghanera shajar na aae
andheri shab ka ye KHwab-manzar mujhe ujalon se bhar raha hai
to raat itni tawil ho jae ta-qayamat sahar na aae
jahan hon teri hi raunaqen aur tere nazare hi chaaron jaanib
us anjuman ka pata bata de jahan se meri KHabar na aae
jo lauT aae koi safar se to phir musafir kahan raha wo
wahi musafir hai jo safar mein hai aur kabhi lauT kar na aae
wo aasmanon mein rahne wala sunega ek din teri 'alina'
sada ko apni buland rakh tu dua mein jab tak asar na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.