ye kis ne aatish-e-ehsas ko hawa di hai
ye kis ne ātish-e-ehsās ko havā dī hai
ki merī ruuh meñ ik aag sī lagā dī hai
asīr-e-lazzat-e-duniyā huā to aap huā
mujhe numūd kī ḳhvāhish ne ye sazā dī hai
maiñ aise lamhoñ ko kyā naam duuñ ki jab maiñ ne
ḳhud apne aap ko shiddat se badduā dī hai
nadāmateñ mire maazī se kar rahī haiñ savāl
vo māh-o-sāl kī daulat kahāñ luTā dī hai
ajiib tarah kī vo dāstāñ hai ham ne jise
kahīñ se yaad rakhī hai kahīñ bhulā dī hai
ai rah-ravān-e-rah-e-shauq ḳhauf hai kaisā
jo rāste meñ thī dīvār vo girā dī hai
ye kis ne aatish-e-ehsas ko hawa di hai
ki meri ruh mein ek aag si laga di hai
asir-e-lazzat-e-duniya hua to aap hua
mujhe numud ki KHwahish ne ye saza di hai
main aise lamhon ko kya nam dun ki jab main ne
KHud apne aap ko shiddat se baddua di hai
nadamaten mere mazi se kar rahi hain sawal
wo mah-o-sal ki daulat kahan luTa di hai
ajib tarah ki wo dastan hai hum ne jise
kahin se yaad rakhi hai kahin bhula di hai
ai rah-rawan-e-rah-e-shauq KHauf hai kaisa
jo raste mein thi diwar wo gira di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.