ye kis ne ahd-e-faramosh se sada di hai
ye kis ne ahd-e-farāmosh se sadā dī hai
abhī charāġh jalā.e hī the havā dī hai
ye virsa ham se na.ī nasl ko kabhī na mile
zabāñ hamāre buzurgoñ ne be-navā dī hai
ḳhirāj-e-ārzū-e-mausam-e-bahār hai ye
lahū lahū jo mire pairahan kī vaadī hai
koī bhī ghar se na nikle charāġh-e-dil le kar
amīr-e-shahr kī ye shahr meñ munādī hai
milī hai ye mah-o-anjum se dostī kī sazā
ki āftāb ne bīnā.ī tak jalā dī hai
kahāñ se kāTo.ge kal tum masarrateñ 'ābid'
ye fasl-e-ashk jo har aañkh meñ ugā dī hai
ye kis ne ahd-e-faramosh se sada di hai
abhi charagh jalae hi the hawa di hai
ye wirsa hum se nai nasl ko kabhi na mile
zaban hamare buzurgon ne be-nawa di hai
KHiraj-e-arzu-e-mausam-e-bahaar hai ye
lahu lahu jo mere pairahan ki wadi hai
koi bhi ghar se na nikle charagh-e-dil le kar
amir-e-shahr ki ye shahr mein munadi hai
mili hai ye mah-o-anjum se dosti ki saza
ki aaftab ne binai tak jala di hai
kahan se kaToge kal tum masarraten 'abid'
ye fasl-e-ashk jo har aankh mein uga di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.