ye kis ne kah diya hai qasr-e-sultani mein rahta hun
ye kis ne kah diya hai qasr-e-sultani mein rahta hun
Azhar Kamal Khan
MORE BYAzhar Kamal Khan
ye kis ne kah diyā hai qasr-e-sultānī meñ rahtā huuñ
maiñ apnī zaat meñ phailī bayābānī meñ rahtā huuñ
bahut hī sādgī se roz khātā huuñ fareb us se
phir us ke baad pahroñ ek hairānī meñ rahtā huuñ
maiñ din-bhar ḳhuub hañstā huuñ hamesha muskurātā huuñ
magar shab-bhar maiñ bazm-e-ashk-afshānī meñ rahtā huuñ
mujhe jo dushmanoñ ke vaar se mahfūz rakhtī haiñ
maiñ kuchh aisī duāoñ kī nigahbānī meñ rahtā huuñ
ye maiñ ne āzmāyā hai baḌe logoñ kī mahfil meñ
maiñ jitnā chup rahūñ utnī hī āsānī meñ rahtā huuñ
kisī bhī vaqt ashkoñ kā bahāo kam nahīñ hotā
maiñ dariyā kī tarah har vaqt tuġhyānī meñ rahtā huuñ
ye kis ne kah diya hai qasr-e-sultani mein rahta hun
main apni zat mein phaili bayabani mein rahta hun
bahut hi sadgi se roz khata hun fareb us se
phir us ke baad pahron ek hairani mein rahta hun
main din-bhar KHub hansta hun hamesha muskuraata hun
magar shab-bhar main bazm-e-ashk-afshani mein rahta hun
mujhe jo dushmanon ke war se mahfuz rakhti hain
main kuchh aisi duaon ki nigahbani mein rahta hun
ye main ne aazmaya hai baDe logon ki mahfil mein
main jitna chup rahun utni hi aasani mein rahta hun
kisi bhi waqt ashkon ka bahao kam nahin hota
main dariya ki tarah har waqt tughyani mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.