ye kis ne kah diya nakaamiyon ka gham nahin hota
ye kis ne kah diya nakaamiyon ka gham nahin hota
Abdur Rauf Shahid Ansari
MORE BYAbdur Rauf Shahid Ansari
ye kis ne kah diyā nākāmiyoñ kā ġham nahīñ hotā
bahut hotā hai lekin shauq-e-manzil kam nahīñ hotā
yaqīnan aap ke vā'doñ meñ koī dam nahīñ hotā
magar ye bhī haqīqat hai bharosa kam nahīñ hotā
bajā hai aap phir āmāda haiñ tark-e-taġhāful par
magar ab mujh se 'arz-e-mudda'ā paiham nahīñ hotā
ḳhizāñ kī chīra-dastī se na ghabrāo chaman vaalo
jahān-e-zindagī meñ ek hī mausam nahīñ hotā
ta'ajjub se mire pairoñ ke chhāle dekhne vaalo
rah-e-hastī meñ farsh-e-sabza-o-shabnam nahīñ hotā
maiñ girtā huuñ sañbhaltā huuñ qadam aage baḌhātā huuñ
mirī nākāmiyoñ meñ yaas kā 'ālam nahīñ hotā
kahāñ kī bandagī 'shāhid' ise husn-e-talab kahiye
kisī ke āstāñ par sar kisī kā ḳham nahīñ hotā
ye kis ne kah diya nakaamiyon ka gham nahin hota
bahut hota hai lekin shauq-e-manzil kam nahin hota
yaqinan aap ke wa'don mein koi dam nahin hota
magar ye bhi haqiqat hai bharosa kam nahin hota
baja hai aap phir aamada hain tark-e-taghaful par
magar ab mujh se 'arz-e-mudda'a paiham nahin hota
KHizan ki chira-dasti se na ghabrao chaman walo
jahan-e-zindagi mein ek hi mausam nahin hota
ta'ajjub se mere pairon ke chhaale dekhne walo
rah-e-hasti mein farsh-e-sabza-o-shabnam nahin hota
main girta hun sanbhalta hun qadam aage baDhata hun
meri nakaamiyon mein yas ka 'alam nahin hota
kahan ki bandagi 'shahid' ise husn-e-talab kahiye
kisi ke aastan par sar kisi ka KHam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.