ye kisi ne tum se ghalat kaha mujhe karwan ki talash hai
ye kisī ne tum se ġhalat kahā mujhe kārvāñ kī talāsh hai
jahāñ maiñ huuñ tum ho koī na ho mujhe is jahāñ kī talāsh hai
liye zauq-e-sajda meñ dar-ba-dar phirā maiñ ne paayā nahīñ magar
jahāñ apne aap jhuke jabīñ isī āstāñ kī talāsh hai
na hai vasl kī koī aarzū na to hijr kī koī guftugū
jo shikār ho ġham-e-'ishq kā usī rāz-dāñ kī talāsh hai
use do ḳhabar ki vo āshiyāñ jo hai soz qalb se zau-fishāñ
ye sunā hai maiñ ne ki barq ko mire āshiyāñ kī talāsh hai
mire shauq-e-dīd kī aarzū nahīñ chand phūloñ kī justujū
mire rang-o-bū ke mazāq ko kisī gulsitāñ kī talāsh hai
mire dil meñ ġham kā jo ḳhaar hai mirā dil usī pe nisār hai
jise mere dard kā dard ho usī mehrbāñ kī talāsh hai
kisī dil meñ koī makīn hai kisī dar pe koī jabīn hai
jahāñ ho na koī mire sivā mujhe us makāñ kī talāsh hai
ye kisi ne tum se ghalat kaha mujhe karwan ki talash hai
jahan main hun tum ho koi na ho mujhe is jahan ki talash hai
liye zauq-e-sajda mein dar-ba-dar phira main ne paya nahin magar
jahan apne aap jhuke jabin isi aastan ki talash hai
na hai wasl ki koi aarzu na to hijr ki koi guftugu
jo shikar ho gham-e-'ishq ka usi raaz-dan ki talash hai
use do KHabar ki wo aashiyan jo hai soz qalb se zau-fishan
ye suna hai main ne ki barq ko mere aashiyan ki talash hai
mere shauq-e-did ki aarzu nahin chand phulon ki justuju
mere rang-o-bu ke mazaq ko kisi gulsitan ki talash hai
mere dil mein gham ka jo KHar hai mera dil usi pe nisar hai
jise mere dard ka dard ho usi mehrban ki talash hai
kisi dil mein koi makin hai kisi dar pe koi jabin hai
jahan ho na koi mere siwa mujhe us makan ki talash hai
- Book : Gul Gisht (Pg. 94)
- Author : Qazi Gaus Muhiuddin Ahmed Siddique
- Publication : Nawa-e-Dakan Publications-2 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.