ye kis sada pe qadam rah badalne lagte hain
ye kis sadā pe qadam rah badalne lagte haiñ
lage jo aañkh to ḳhvāboñ meñ chalne lagte haiñ
maiñ apnī pyaas ko dafnānā chāhtā huuñ jahāñ
usī zamīn se chashme ubalne lagte haiñ
añdherī raat meñ us kā ḳhayāl aate hī
jabīñ pe chāñd sitāre nikalne lagte haiñ
yahī nahīñ ki charāġhoñ ko niiñd aatī hai
havā ke lams se ham bhī pighalne lagte haiñ
ye kaun ham pe barastā hai abr kī sūrat
charāġh-e-hijr kī jab lau meñ jalne lagte haiñ
ye kis sada pe qadam rah badalne lagte hain
lage jo aankh to KHwabon mein chalne lagte hain
main apni pyas ko dafnana chahta hun jahan
usi zamin se chashme ubalne lagte hain
andheri raat mein us ka KHayal aate hi
jabin pe chand sitare nikalne lagte hain
yahi nahin ki charaghon ko nind aati hai
hawa ke lams se hum bhi pighalne lagte hain
ye kaun hum pe barasta hai abr ki surat
charagh-e-hijr ki jab lau mein jalne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.