ye kise thi KHabar dil lagane ke baad
ye kise thī ḳhabar dil lagāne ke baa'd
ġham bhī mil jā.eñge muskurāne ke baa'd
kis jahāñ meñ ḳhudā jaane vo kho ga.e
mujh ko ik baar sūrat dikhāne ke baa'd
jaan paayā huuñ maiñ vo hai patthar-jigar
apnī āñkhoñ se aañsū bahāne ke baa'd
bas chalā hai tasavvur pe kis kā bhalā
yaad vo aur aa.e bhulāne ke baa'd
zulm sahtā huuñ kūche meñ ye soch kar
ghar nahīñ dūsrā is Thikāne ke baa'd
ḳhaas fitrat hasīnoñ kī hai dostoñ
vo kareñ tark-e-ulfat nibhāne ke baa'd
jo the apne kabhī ho ga.e ġhair vo
un ko 'tasdīq' apnā banāne ke baa'd
aañkh merī na yuuñ dekh kar bhar ga.ī
aaj dekhā hai us ko zamāne ke baa'd
ye kise thi KHabar dil lagane ke ba'd
gham bhi mil jaenge muskurane ke ba'd
kis jahan mein KHuda jaane wo kho gae
mujh ko ek bar surat dikhane ke ba'd
jaan paya hun main wo hai patthar-jigar
apni aankhon se aansu bahane ke ba'd
bas chala hai tasawwur pe kis ka bhala
yaad wo aur aae bhulane ke ba'd
zulm sahta hun kuche mein ye soch kar
ghar nahin dusra is Thikane ke ba'd
KHas fitrat hasinon ki hai doston
wo karen tark-e-ulfat nibhane ke ba'd
jo the apne kabhi ho gae ghair wo
un ko 'tasdiq' apna banane ke ba'd
aankh meri na yun dekh kar bhar gai
aaj dekha hai us ko zamane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.