ye kisi ne kahan mohabbat ki
ye kisī ne kahāñ mohabbat kī
chal paḌī hai dukāñ mohabbat kī
dil nishāne pe dekh kar us ne
khīñch lī hai kamāñ mohabbat kī
yaad rakh mere āsmāñ pe nahīñ
koī bhī kahkashāñ mohabbat kī
TūTtī haiñ to lutf aatā hai
pahn le chūḌiyāñ mohabbat kī
bevafā yaar ho nahīñ saktā
us ne dī hai zabāñ mohabbat kī
jis taraf bhī chalūñ khanaktī haiñ
be-sadā beḌiyāñ mohabbat kī
mujh se vā'da kiyā to thā us ne
phir na-jāne kahāñ mohabbat kī
mere dariyā meñ gir paḌī āḳhir
ek jū-e-ravāñ mohabbat kī
phuul hī phuul khil uThe 'rāval'
us hasīñ ne jahāñ mohabbat kī
ye kisi ne kahan mohabbat ki
chal paDi hai dukan mohabbat ki
dil nishane pe dekh kar us ne
khinch li hai kaman mohabbat ki
yaad rakh mere aasman pe nahin
koi bhi kahkashan mohabbat ki
TuTti hain to lutf aata hai
pahn le chuDiyan mohabbat ki
bewafa yar ho nahin sakta
us ne di hai zaban mohabbat ki
jis taraf bhi chalun khanakti hain
be-sada beDiyan mohabbat ki
mujh se wa'da kiya to tha us ne
phir na-jaane kahan mohabbat ki
mere dariya mein gir paDi aaKHir
ek ju-e-rawan mohabbat ki
phul hi phul khil uThe 'rawal'
us hasin ne jahan mohabbat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.