ye kitabon si jo hatheli hai
ye kitāboñ sī jo hathelī hai
sab se mushkil yahī pahelī hai
merī ham umr hai ye tanhā.ī
saath bachpan se mere khelī hai
hañstī rahtī hai ek khiḌkī par
apnī dīvār meñ akelī hai
khul rahī hai ye baat ham par bhī
zindagī ik kaThin pahelī hai
ek rauzan se chhan ke aa to ga.ī
ghar meñ lekin kiran akelī hai
narm-o-nāzuk sī ḳhūb-sūrat sī
zindagī pyaar kī hathelī hai
shukriya un sabhī ko ki 'ātish'
aañch jis ne bhī terī jhelī hai
ye kitabon si jo hatheli hai
sab se mushkil yahi paheli hai
meri hum umr hai ye tanhai
sath bachpan se mere kheli hai
hansti rahti hai ek khiDki par
apni diwar mein akeli hai
khul rahi hai ye baat hum par bhi
zindagi ek kaThin paheli hai
ek rauzan se chhan ke aa to gai
ghar mein lekin kiran akeli hai
narm-o-nazuk si KHub-surat si
zindagi pyar ki hatheli hai
shukriya un sabhi ko ki 'atish'
aanch jis ne bhi teri jheli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.