ye koi baat hai sunta na baghban meri
ye koī baat hai suntā na bāġhbāñ merī
kahāñ asar meñ vo Duubī huī fuġhāñ merī
chalī hai aaj sunāne unheñ fuġhāñ merī
are zarūr ye kaTvā.egī zabāñ merī
hilī zabān ki bijlī hai phir fuġhāñ merī
ḳhudā kare na qafas meñ khule zabāñ merī
vo zulf khol ke sharmā.eñ ġhair ke ghar aaj
kuchh is adā se shab-e-ġham ho mehmāñ merī
mujhe ye Dar hai na phūle phale bahār meñ ye
jhukī huī hai bahut shāḳh-e-āshiyāñ merī
ġhazab kā dard qayāmat kā hai asar us meñ
ḳhudā kisī ko na sunvā.e dāstāñ merī
ye dair meñ nahīñ bajte haiñ ḳhud-baḳhud nāqūs
haram meñ guuñj rahī hai buto azaañ merī
tum apne baam se fariyād kī ijāzat do
yahāñ se to nahīñ suntā hai āsmāñ merī
kisī ke aane kā ab intizār kaun kare
pukārtī hai mujhe marg-e-nā-gahāñ merī
kahe kahe na kahe koī mujh ko kyā us se
suneñ suneñ na suneñ aap dāstāñ merī
vo bole hashr meñ khul khelne ko kahte haiñ
satā rahī haiñ mujhe aaj shoḳhiyāñ merī
na dast-e-nāz meñ lo teġh is nazākat se
tumhāre bas kī nahīñ jān-e-nā-tavāñ merī
zabān meñ bhī asar hai mire bayāñ meñ bhī
suneñ na aap mire muñh se dāstāñ merī
jo bosa vasl meñ māñgoñ to deñ sazā mujh ko
jo lab hilā.ūñ to vo kaaT leñ zabāñ merī
maiñ nā-tavāñ bhī gayā aaj baam tak un ke
ye zaar thā ki mujhe le uḌī fuġhāñ merī
sharāb maiñ pas-e-tauba jo māñgoñ bhūle se
to mai-farosh kahe nazr hai dukāñ merī
kuchh ab kī baaġh meñ is dhuum se bahār aa.e
na bāġhbāñ kī sunūñ maiñ na bāġhbāñ merī
jo ye kahā ho mirī aa.ī tujh ko aa jaa.e
mujhe nasīb na ho niiñd pāsbāñ merī
payām maut kā hai yaad unheñ mirī kaisī
kuchh aaj aur hī kahtī haiñ hichkiyāñ merī
vo bole abrū-o-mizhgāñ ko kyā huā shab-e-vasl
dhare rahe yūñhī nāvak mire kamāñ merī
uThā.ūñ afv kī lazzat bhī lutf-e-isyāñ bhī
mire karīm ye taqdīr hai kahāñ merī
satāne vaale ko kuchh qadr ho satāne kī
unheñ satā.e jo maane ye āsmāñ merī
vo maiñ huuñ aaj zamāne ko naaz hai jis par
'riyāz' dhuum hai jis kī vo hai zabāñ merī
ye koi baat hai sunta na baghban meri
kahan asar mein wo Dubi hui fughan meri
chali hai aaj sunane unhen fughan meri
are zarur ye kaTwaegi zaban meri
hili zaban ki bijli hai phir fughan meri
KHuda kare na qafas mein khule zaban meri
wo zulf khol ke sharmaen ghair ke ghar aaj
kuchh is ada se shab-e-gham ho mehman meri
mujhe ye Dar hai na phule phale bahaar mein ye
jhuki hui hai bahut shaKH-e-ashiyan meri
ghazab ka dard qayamat ka hai asar us mein
KHuda kisi ko na sunwae dastan meri
ye dair mein nahin bajte hain KHud-baKHud naqus
haram mein gunj rahi hai buto azan meri
tum apne baam se fariyaad ki ijazat do
yahan se to nahin sunta hai aasman meri
kisi ke aane ka ab intizar kaun kare
pukarti hai mujhe marg-e-na-gahan meri
kahe kahe na kahe koi mujh ko kya us se
sunen sunen na sunen aap dastan meri
wo bole hashr mein khul khelne ko kahte hain
sata rahi hain mujhe aaj shoKHiyan meri
na dast-e-naz mein lo tegh is nazakat se
tumhaare bas ki nahin jaan-e-na-tawan meri
zaban mein bhi asar hai mere bayan mein bhi
sunen na aap mere munh se dastan meri
jo bosa wasl mein mangon to den saza mujh ko
jo lab hilaun to wo kaT len zaban meri
main na-tawan bhi gaya aaj baam tak un ke
ye zar tha ki mujhe le uDi fughan meri
sharab main pas-e-tauba jo mangon bhule se
to mai-farosh kahe nazr hai dukan meri
kuchh ab ki bagh mein is dhum se bahaar aae
na baghban ki sunun main na baghban meri
jo ye kaha ho meri aai tujh ko aa jae
mujhe nasib na ho nind pasban meri
payam maut ka hai yaad unhen meri kaisi
kuchh aaj aur hi kahti hain hichkiyan meri
wo bole abru-o-mizhgan ko kya hua shab-e-wasl
dhare rahe yunhi nawak mere kaman meri
uThaun afw ki lazzat bhi lutf-e-isyan bhi
mere karim ye taqdir hai kahan meri
satane wale ko kuchh qadr ho satane ki
unhen satae jo mane ye aasman meri
wo main hun aaj zamane ko naz hai jis par
'riyaz' dhum hai jis ki wo hai zaban meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.