ye koi baat hui mil ke juda ho jaana
ye koī baat huī mil ke judā ho jaanā
kaash aa.e tumheñ pāband-e-vafā ho jaanā
is tasavvur hī se dil kaañp rahā hai merā
mere mahbūb kā aur mujh se judā ho jaanā
ye sar-e-arsh-e-mua.allā bhī pahuñch jaa.e to kyā
nahīñ mumkin kabhī insāñ kā ḳhudā ho jaanā
ahl-e-mahfil ne to samjhā thā haqīqat is ko
ik dikhāvā thā tirā mujh se ḳhafā ho jaanā
aarzū hai mirī taqdīr meñ likkhā hotā
rahguzar meñ tirī naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā
hāsil-e-umr-e-ravāñ is ke sivā kuchh bhī nahīñ
'soz' us jān-e-tamannā pe fidā jaanā
ye koi baat hui mil ke juda ho jaana
kash aae tumhein paband-e-wafa ho jaana
is tasawwur hi se dil kanp raha hai mera
mere mahbub ka aur mujh se juda ho jaana
ye sar-e-arsh-e-mualla bhi pahunch jae to kya
nahin mumkin kabhi insan ka KHuda ho jaana
ahl-e-mahfil ne to samjha tha haqiqat is ko
ek dikhawa tha tera mujh se KHafa ho jaana
aarzu hai meri taqdir mein likkha hota
rahguzar mein teri naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana
hasil-e-umr-e-rawan is ke siwa kuchh bhi nahin
'soz' us jaan-e-tamanna pe fida jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.