ye koi dil to nahin hai ki Thahar jaega
ye koī dil to nahīñ hai ki Thahar jā.egā
vaqt ik ḳhvāb-e-ravāñ hai so guzar jā.egā
har guzarte hue lamhe se yahī ḳhauf rahā
hasratoñ se mire dāman ko ye bhar jā.egā
dil shafaq-rañg huā Dūbte sūraj kī tarah
raat aa.egī to har ḳhvāb bikhar jā.egā
shiddat-e-ġham se milā ziist ko mafhūm nayā
ham samajhte the ki dil jiine se bhar jā.egā
chand lamhoñ kī rifāqat hī ġhanīmat hai ki phir
chand lamhoñ meñ ye shīrāza bikhar jā.egā
apnī yādoñ ko sameTeñge bichhaḌne vaale
kise mā'lūm hai phir kaun kidhar jā.egā
yādeñ rah jā.eñgī aur yādeñ bhī aisī jin kā
zahr āñkhoñ se rag-o-pai meñ utar jā.egā
ye koi dil to nahin hai ki Thahar jaega
waqt ek KHwab-e-rawan hai so guzar jaega
har guzarte hue lamhe se yahi KHauf raha
hasraton se mere daman ko ye bhar jaega
dil shafaq-rang hua Dubte suraj ki tarah
raat aaegi to har KHwab bikhar jaega
shiddat-e-gham se mila zist ko mafhum naya
hum samajhte the ki dil jine se bhar jaega
chand lamhon ki rifaqat hi ghanimat hai ki phir
chand lamhon mein ye shiraaza bikhar jaega
apni yaadon ko sameTenge bichhaDne wale
kise ma'lum hai phir kaun kidhar jaega
yaaden rah jaengi aur yaaden bhi aisi jin ka
zahr aankhon se rag-o-pai mein utar jaega
- Book : Abyaat (Pg. 17)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Alqamar Enterprises, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.