Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain

Aitbar Sajid

ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    ye kyā hālat banā rakkhī hai ye āsār kaise haiñ

    bahut achchhā-bhalā chhoḌā thā ab bīmār kaise

    vo mujh se pūchhne aa.ī hai kuchh likkhā nahīñ mujh par

    maiñ us ko kaise samjhā.ūñ mire ash'ār kaise haiñ

    mirī socheñ haiñ kaisī kaun in sochoñ markaz hai

    jo mere zehn meñ palte haiñ vo afkār kaise haiñ

    mire dil alāvoñ aaj tak dekhā nahīñ jis ne

    vo kyā jaane ki sho'le sūrat-e-iz.hār kaise haiñ

    ye mantiq kaun samjhegā ki yaḳh-kamre ThanDak meñ

    mire alfāz ke malbūs sho.ala-bār kaise haiñ

    zarā ek farmā.ish bhī puurī kar nahīñ sakte

    mohabbat karne vaale log bhī lāchār kaise haiñ

    judā.ī kis tarah bartāv ham logoñ se kartī hai

    mizājan ham-suḳhanvar be-dil-o-be-zār kaise haiñ

    ye kya haalat bana rakkhi hai ye aasar kaise hain

    bahut achchha-bhala chhoDa tha ab bimar kaise

    wo mujh se puchhne aai hai kuchh likkha nahin mujh par

    main us ko kaise samjhaun mere ash'ar kaise hain

    meri sochen hain kaisi kaun in sochon ka markaz hai

    jo mere zehn mein palte hain wo afkar kaise hain

    mere dil ka alawon aaj tak dekha nahin jis ne

    wo kya jaane ki sho'le surat-e-izhaar kaise hain

    ye mantiq kaun samjhega ki yaKH-kamre ki ThanDak mein

    mere alfaz ke malbus shoala-bar kaise hain

    zara si ek farmaish bhi puri kar nahin sakte

    mohabbat karne wale log bhi lachaar kaise hain

    judai kis tarah bartaw hum logon se karti hai

    mizajan ham-suKHanwar be-dil-o-be-zar kaise hain

    Source :
    • Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 64)
    • Author : Aitabar Sajid
    • Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009)
    • Edition : 2007,2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now