ye kya hua ki ug aae azab kheton mein
ye kyā huā ki ug aa.e azaab khetoñ meñ
yahāñ kisān ne bo.e the ḳhvāb khetoñ meñ
sunā hai aa.e the ḳhushbū ḳharīdne vaale
bahut lagā.e haiñ tum ne gulāb khetoñ meñ
badan pe us ke harā rang khil rahā hai bahut
vo dekho fasl pe aaya shabāb khetoñ meñ
maiñ aaj shahr se gaañv kī samt lauTā to
mujhe dikhe haiñ ka.ī māhtāb khetoñ meñ
ab us ko shahr ke maiḳhāne achchhe lagte nahīñ
ki us ne pī thī bas ik din sharāb khetoñ meñ
to kyā ye rūpiya luqma banā ke khāoge
anaaj hotā hai paidā janāb khetoñ meñ
sunahrī miTTī kī ḳhushkī batā rahī 'dilbar'
paḌā nahīñ hai bahut din se aab khetoñ meñ
ye kya hua ki ug aae azab kheton mein
yahan kisan ne boe the KHwab kheton mein
suna hai aae the KHushbu KHaridne wale
bahut lagae hain tum ne gulab kheton mein
badan pe us ke hara rang khil raha hai bahut
wo dekho fasl pe aaya shabab kheton mein
main aaj shahr se ganw ki samt lauTa to
mujhe dikhe hain kai mahtab kheton mein
ab us ko shahr ke maiKHane achchhe lagte nahin
ki us ne pi thi bas ek din sharab kheton mein
to kya ye rupiya luqma bana ke khaoge
anaj hota hai paida janab kheton mein
sunahri miTTi ki KHushki bata rahi 'dilbar'
paDa nahin hai bahut din se aab kheton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.