ye kya kaha ki jamal un ka be-hijab na tha
ye kyā kahā ki jamāl un kā be-hijāb na thā
ye māhtāb nahīñ thā ye āftāb na thā
na hai vo daur jo majrūh-e-inqalāb na thā
tumhāre husn mire ishq kā javāb na thā
jahān-e-ġham meñ tasavvur bhī kāmyāb na thā
'shifā' hamārī qayāmat meñ āftāb na thā
ye thā hijāb-e-fareb us kā yā fareb-e-hijāb
ki be-hijāb thā vo aur be-hijāb na thā
vo barhamī se sahī mujh ko dekh to lete
ḳharāb thā magar itnā to maiñ ḳharāb na thā
ḳhatā muaaf ho vo din bhī yaad haiñ ki nahīñ
hameñ hijāb thā aur aap ko hijāb na thā
dil-e-shafaq se lab-e-gul se chashm-e-shabnam se
kahāñ kahāñ se farozāñ tirā shabāb na thā
'shifā' vo rotā na kyūñkar guloñ ke hañsne par
jo ġham-nasīb ki ġham meñ bhī kāmyāb na thā
ye kya kaha ki jamal un ka be-hijab na tha
ye mahtab nahin tha ye aaftab na tha
na hai wo daur jo majruh-e-inqalab na tha
tumhaare husn mere ishq ka jawab na tha
jahan-e-gham mein tasawwur bhi kaamyab na tha
'shifa' hamari qayamat mein aaftab na tha
ye tha hijab-e-fareb us ka ya fareb-e-hijab
ki be-hijab tha wo aur be-hijab na tha
wo barhami se sahi mujh ko dekh to lete
KHarab tha magar itna to main KHarab na tha
KHata muaf ho wo din bhi yaad hain ki nahin
hamein hijab tha aur aap ko hijab na tha
dil-e-shafaq se lab-e-gul se chashm-e-shabnam se
kahan kahan se farozan tera shabab na tha
'shifa' wo rota na kyunkar gulon ke hansne par
jo gham-nasib ki gham mein bhi kaamyab na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.