ye kya KHabar hai ki wo be-KHabar nahin aata
ye kya KHabar hai ki wo be-KHabar nahin aata
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
ye kyā ḳhabar hai ki vo be-ḳhabar nahīñ aatā
hameñ to hosh hī do-do pahar nahīñ aatā
tumhārī chaal ke fitne bhī haiñ qayāmat ke
ki jin ke ḳhauf se mahshar idhar nahīñ aatā
tamām umr agar āb-e-ashk se sīñcheñ
umiid ke to shajar meñ samar nahīñ aatā
vo paan khā ke raqīboñ ko de rahī haiñ ugaal
ilāhī kyoñ mire muñh ko jigar nahīñ aatā
zakāt-e-husn nikālo uThāo lutf-e-shabāb
ye vaqt jā ke to phir umr bhar nahīñ aatā
diyā marīz-e-mohabbat ko nusḳha-e-tap-e-diq
tujhe ilaaj bhī ai chārāgar nahīñ aatā
bhalā maiñ aur ḳhushāmad karūñ raqīboñ kī
vahī batāte ho jo kaam kar nahīñ aatā
vo be-naqāb haiñ istāda ġhair ke aage
aur āftāb savā neze par nahīñ aatā
ye kyā mohabbat-o-ulfat ki baad marne ke
koī mazār meñ lene ḳhabar nahīñ aatā
haram meñ zāhido kyā dil bahalne kī sūrat
lagāo laakh maiñ us raah par nahīñ aatā
kahā thā ġhair se kyā mujh ko dekh kar tum ne
aur us pe kahte ho mujh ko to shar nahīñ aatā
nivāla muñh kā nahīñ fann-e-shā.irī ai 'bazm'
ye kaam vo hai ki jo umr bhar nahīñ aatā
ye kya KHabar hai ki wo be-KHabar nahin aata
hamein to hosh hi do-do pahar nahin aata
tumhaari chaal ke fitne bhi hain qayamat ke
ki jin ke KHauf se mahshar idhar nahin aata
tamam umr agar aab-e-ashk se sinchen
umid ke to shajar mein samar nahin aata
wo pan kha ke raqibon ko de rahi hain ugal
ilahi kyon mere munh ko jigar nahin aata
zakat-e-husn nikalo uThao lutf-e-shabab
ye waqt ja ke to phir umr bhar nahin aata
diya mariz-e-mohabbat ko nusKHa-e-tap-e-diq
tujhe ilaj bhi ai chaaragar nahin aata
bhala main aur KHushamad karun raqibon ki
wahi batate ho jo kaam kar nahin aata
wo be-naqab hain istada ghair ke aage
aur aaftab sawa neze par nahin aata
ye kya mohabbat-o-ulfat ki baad marne ke
koi mazar mein lene KHabar nahin aata
haram mein zahido kya dil bahalne ki surat
lagao lakh main us rah par nahin aata
kaha tha ghair se kya mujh ko dekh kar tum ne
aur us pe kahte ho mujh ko to shar nahin aata
niwala munh ka nahin fann-e-shairi ai 'bazm'
ye kaam wo hai ki jo umr bhar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.