ye kya ki ba’d-e-safar phir safar mein rakkha jae
ye kyā ki bā’d-e-safar phir safar meñ rakkhā jaa.e
hameñ bhī chaar pahar mustaqar meñ rakkhā jaa.e
maiñ jis ko haath lagā.ūñ vo lafz bol uTThe
ye mo'jiza bhī kaf-e-kam-hunar meñ rakkhā jaa.e
charāġh pichhle pahar thak ke saath chhoḌ ga.e
tirī talab ko ġhubār-e-sahar meñ rakkhā jaa.e
faroġh-e-fasl-e-riyā maslahat kī āb-o-havā
fazā kā rang navāh-e-nazar meñ rakkhā jaa.e
kitāb-e-'umr meñ aisā bhī baab ho koī
ki likh likhā ke jise āb-e-zar meñ rakkhā jaa.e
hazār pās-e-marātib kā qaht ho 'shādāb'
rahā hai farq jo zer-o-zabar meñ rakkhā jaa.e
ye kya ki ba’d-e-safar phir safar mein rakkha jae
hamein bhi chaar pahar mustaqar mein rakkha jae
main jis ko hath lagaun wo lafz bol uTThe
ye mo'jiza bhi kaf-e-kam-hunar mein rakkha jae
charagh pichhle pahar thak ke sath chhoD gae
teri talab ko ghubar-e-sahar mein rakkha jae
farogh-e-fasl-e-riya maslahat ki aab-o-hawa
faza ka rang nawah-e-nazar mein rakkha jae
kitab-e-'umr mein aisa bhi bab ho koi
ki likh likha ke jise aab-e-zar mein rakkha jae
hazar pas-e-maraatib ka qaht ho 'shadab'
raha hai farq jo zer-o-zabar mein rakkha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.