ye kya ki chehra naqab-andar-naqab rakkho
ye kyā ki chehra naqāb-andar-naqāb rakkho
yahī hai kaafī bachā ke āñkhoñ kī aab rakkho
kahā ye kis ne ki roz-o-shab kā hisāb rakkho
ba-nām-e-jāñ karb-e-mustaqil kā azaab rakkho
saroñ ke uupar se jo tumhāre guzar ga.ī hai
hamāre hisse meñ dosto vo kitāb rakkho
rah-e-tamannā meñ jin se raqsāñ hoñ māh-o-anjum
tum apnī āñkhoñ meñ raushnī ke vo ḳhvāb rakkho
bhaTak na jaa.e koī musāfir rah-e-talab meñ
har ek naqsh-e-qadam meñ tum āftāb rakkho
ufuq-ufuq āftāb-e-tāza kī zau-fishānī
jo ho sake to nazar-nazar inqalāb rakkho
mirā ta.āruf hai naam merā kalām merā
tumheñ mubārak tum apne saare ḳhitāb rakkho
ye kya ki chehra naqab-andar-naqab rakkho
yahi hai kafi bacha ke aankhon ki aab rakkho
kaha ye kis ne ki roz-o-shab ka hisab rakkho
ba-nam-e-jaan karb-e-mustaqil ka azab rakkho
saron ke upar se jo tumhaare guzar gai hai
hamare hisse mein dosto wo kitab rakkho
rah-e-tamanna mein jin se raqsan hon mah-o-anjum
tum apni aankhon mein raushni ke wo KHwab rakkho
bhaTak na jae koi musafir rah-e-talab mein
har ek naqsh-e-qadam mein tum aaftab rakkho
ufuq-ufuq aaftab-e-taza ki zau-fishani
jo ho sake to nazar-nazar inqalab rakkho
mera taaruf hai nam mera kalam mera
tumhein mubarak tum apne sare KHitab rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.