Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya ki faqat apni hi taswir banao

Alqama Shibli

ye kya ki faqat apni hi taswir banao

Alqama Shibli

MORE BYAlqama Shibli

    ye kyā ki faqat apnī tasvīr banāo

    ai naqsh-garo vus.at-e-fan kuchh to dikhāo

    khultā nahīñ kyā lāla-o-gul soch rahe haiñ

    kuchh tum kaho fasl-e-bahārāñ havāo

    chhā jaa.e na ehsās pe zulmat shab-e-ġham

    yaaro dil-e-sozāñ na qindīl bujhāo

    har sub.h mire ḳhvāb se gul-gūna talab hai

    har shaam ko zid hai ki mujhe ġhāza lagāo

    rangīn hai dāmān-e-sahar kis ke lahū se

    ḳhāmosh ho kyoñ dār-o-rasan kuchh to batāo

    ye farsh-nashīñ arsh-nashīñ to nahīñ 'shiblī'

    sar dil bulandī hai na qadmoñ pe jhukāo

    ye kya ki faqat apni hi taswir banao

    ai naqsh-garo wusat-e-fan kuchh to dikhao

    khulta nahin kya lala-o-gul soch rahe hain

    kuchh tum hi kaho fasl-e-bahaaran ki hawao

    chha jae na ehsas pe zulmat shab-e-gham ki

    yaro dil-e-sozan ki na qindil bujhao

    har subh mere KHwab se gul-guna talab hai

    har sham ko zid hai ki mujhe ghaza lagao

    rangin hai daman-e-sahar kis ke lahu se

    KHamosh ho kyon dar-o-rasan kuchh to batao

    ye farsh-nashin arsh-nashin to nahin 'shibli'

    sar dil ki bulandi hai na qadmon pe jhukao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now