Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya ki parda-e-alfaz mein chhupae mujhe

Shareef Munawwar

ye kya ki parda-e-alfaz mein chhupae mujhe

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    ye kyā ki parda-e-alfāz meñ chhupā.e mujhe

    har ek sher mirā sāmne bhī laa.e mujhe

    mirā badan tamāzat-pasand hai varna

    hazār raah meñ milte rahe haiñ saa.e mujhe

    maiñ bā-vafā thā magar us se bevafā.ī

    ki is sulūk se shāyad vo bhuul jaa.e mujhe

    guzar rahā hai ye kis marhale se fan merā

    jo naqsh ḳhud meñ banā.ūñ vahī Darā.e mujhe

    ye kya ki parda-e-alfaz mein chhupae mujhe

    har ek sher mera samne bhi lae mujhe

    mera badan hi tamazat-pasand hai warna

    hazar rah mein milte rahe hain sae mujhe

    main ba-wafa tha magar us se bewafai ki

    ki is suluk se shayad wo bhul jae mujhe

    guzar raha hai ye kis marhale se fan mera

    jo naqsh KHud mein banaun wahi Darae mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now