ye kya malum tha bargashta qismat is qadar hogi
ye kyā ma.alūm thā bargashta qismat is qadar hogī
guloñ kī aarzū meñ umr kāñToñ meñ basar hogī
junūñ kī ibtidā hai apne dīvāne ko samjhāo
vo aalam aur hogā jab mohabbat hosh par hogī
rah-e-ulfat meñ ik aisī bhī manzil aane vaalī hai
jahāñ ġham kā asar hotā na kuchh apnī ḳhabar hogī
nahīñ ma.alūm kab jān-e-chaman jalva dikhā.egā
ḳhudā ma.alūm kab shāḳh-e-tamannā bār-var hogī
abhī tak to koī taskīn kī sūrat nahīñ niklī
yūñhī ai 'soz' shāyad zindagī apnī basar hogī
ye kya malum tha bargashta qismat is qadar hogi
gulon ki aarzu mein umr kanTon mein basar hogi
junun ki ibtida hai apne diwane ko samjhao
wo aalam aur hoga jab mohabbat hosh par hogi
rah-e-ulfat mein ek aisi bhi manzil aane wali hai
jahan gham ka asar hota na kuchh apni KHabar hogi
nahin malum kab jaan-e-chaman jalwa dikhaega
KHuda malum kab shaKH-e-tamanna bar-war hogi
abhi tak to koi taskin ki surat nahin nikli
yunhi ai 'soz' shayad zindagi apni basar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.