ye kya rut hai ab ki rut mein dekhen zard gulab
ye kyā rut hai ab kī rut meñ dekheñ zard gulāb
chehre sūkhe phuul ḳhizāñ ke āñkheñ zard gulāb
phuul se bachche bhī ḳhvāboñ ke īñdhan bante jaa.eñ
dekheñ kaisī rut phūloñ kī oḌheñ zard gulāb
ek alāmat ho ga.ī apne ḳhvāboñ kī tafsīr
socheñ apne ḳhvāboñ ko to likkheñ zard gulāb
dīvāroñ par apnī nasl kā nauha likhte jaa.eñ
jis ke din bhī zahrīle haiñ rāteñ zard gulāb
jhuuT ke zahrīle panjoñ meñ jakḌe murda log
bāteñ uḌtī ḳhushbū jaisī socheñ zard gulāb
ab āñgan meñ sannāTe kī Dāyan nāche-gā.e
ab bachchoñ ke badle ghar meñ kheleñ zard gulāb
aane vaale shāyad apne dukh ko samjheñge
'dānish' yaar kitāboñ meñ ham rakkheñ zard gulāb
ye kya rut hai ab ki rut mein dekhen zard gulab
chehre sukhe phul KHizan ke aankhen zard gulab
phul se bachche bhi KHwabon ke indhan bante jaen
dekhen kaisi rut phulon ki oDhen zard gulab
ek alamat ho gai apne KHwabon ki tafsir
sochen apne KHwabon ko to likkhen zard gulab
diwaron par apni nasl ka nauha likhte jaen
jis ke din bhi zahrile hain raaten zard gulab
jhuT ke zahrile panjon mein jakDe murda log
baaten uDti KHushbu jaisi sochen zard gulab
ab aangan mein sannaTe ki Dayan nache-gae
ab bachchon ke badle ghar mein khelen zard gulab
aane wale shayad apne dukh ko samjhenge
'danish' yar kitabon mein hum rakkhen zard gulab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.