ye kya sitam-zarifi-e-fitrat hai aaj-kal
ye kyā sitam-zarīfī-e-fitrat hai āj-kal
begāngī sharīk-e-mohabbat hai āj-kal
ġham hai ki ek talḳh haqīqat hai āj-kal
dil hai ki sogvār-e-mohabbat hai āj-kal
tanhā.ī-e-firāq se ghabrā rahā huuñ maiñ
mere liye sukūñ bhī qayāmat hai āj-kal
har saañs tarjumān-e-ġham-e-dil hai in dinoñ
har aah parda-dār-e-hikāyat hai āj-kal
merī vafā hī mere liye qahr ban ga.ī
apnī vafā pe un ko nadāmat hai āj-kal
phir chāhtā huuñ ik alam tāza-tar 'shakīl'
phir dil ko justajū-e-masarrat hai āj-kal
ye kya sitam-zarifi-e-fitrat hai aaj-kal
begangi sharik-e-mohabbat hai aaj-kal
gham hai ki ek talKH haqiqat hai aaj-kal
dil hai ki sogwar-e-mohabbat hai aaj-kal
tanhai-e-firaq se ghabra raha hun main
mere liye sukun bhi qayamat hai aaj-kal
har sans tarjuman-e-gham-e-dil hai in dinon
har aah parda-dar-e-hikayat hai aaj-kal
meri wafa hi mere liye qahr ban gai
apni wafa pe un ko nadamat hai aaj-kal
phir chahta hun ek alam taza-tar 'shakil'
phir dil ko justaju-e-masarrat hai aaj-kal
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 106)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.