ye kya tauhin-e-mai-KHana nahin hai
ye kyā tauhīn-e-mai-ḳhāna nahīñ hai
surāhī hai to paimāna nahīñ hai
dar-e-daulat ke chakkar aap kāTeñ
mirī fitrat ġhulāmāna nahīñ hai
ta.ajjub hai ki ahl-e-shahr ne bhī
abhī tak mujh ko pahchānā nahīñ hai
chhalak jaatī hai un kā naam sun kar
agarche aañkh paimāna nahīñ hai
maiñ tishna-lab bhī uTh saktā huuñ saaqī
magar ye shān-e-mai-ḳhāna nahīñ hai
vo dil bhī dekhne kī chiiz hogā
ujaḌ kar bhī jo vīrāna nahīñ hai
mirā maslak faqīrāna hai lekin
mirī hālat faqīrāna nahīñ hai
koī kyuuñ qadr-e-ahl-e-dil karegā
koī mujh sā to dīvāna nahīñ hai
bahak jaate haiñ vo ik ghūñT pī kar
ye koī vaz-e-rindāna nahīñ hai
janāb-e-'shauq' be-had muztarib haiñ
magar nazdīk mai-ḳhāna nahīñ hai
ye kya tauhin-e-mai-KHana nahin hai
surahi hai to paimana nahin hai
dar-e-daulat ke chakkar aap kaTen
meri fitrat ghulamana nahin hai
tajjub hai ki ahl-e-shahr ne bhi
abhi tak mujh ko pahchana nahin hai
chhalak jati hai un ka nam sun kar
agarche aankh paimana nahin hai
main tishna-lab bhi uTh sakta hun saqi
magar ye shan-e-mai-KHana nahin hai
wo dil bhi dekhne ki chiz hoga
ujaD kar bhi jo virana nahin hai
mera maslak faqirana hai lekin
meri haalat faqirana nahin hai
koi kyun qadr-e-ahl-e-dil karega
koi mujh sa to diwana nahin hai
bahak jate hain wo ek ghunT pi kar
ye koi waz-e-rindana nahin hai
janab-e-'shauq' be-had muztarib hain
magar nazdik mai-KHana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.