ye kya tumhaare ji mein samai tamam-raat
ye kyā tumhāre jī meñ samā.ī tamām-rāt
gāloñ pe rakh ke so.e kalā.ī tamām-rāt
aḳhtar-shumāriyoñ meñ guzar hī gayā junūn
maanā ke mujh ko niiñd na aa.ī tamām
dekhe jo chashm-e-zār ki sailāb-hā-e-ḳhūñ
yaad aa.e dast-o-pā-e-hinā.ī tamām-rāt
bistar kī ek ek shikan nok-e-ḳhār thī
karvaT badalte niiñd na aa.ī tamām-rāt
tasbīh le ke haath meñ zāhid ne sub.h kī
yaañ 'tāj' ham ne iid manā.ī tamām-rāt
ye kya tumhaare ji mein samai tamam-raat
galon pe rakh ke soe kalai tamam-raat
aKHtar-shumariyon mein guzar hi gaya junun
mana ke mujh ko nind na aai tamam
dekhe jo chashm-e-zar ki sailab-ha-e-KHun
yaad aae dast-o-pa-e-hinai tamam-raat
bistar ki ek ek shikan nok-e-KHar thi
karwaT badalte nind na aai tamam-raat
tasbih le ke hath mein zahid ne subh ki
yan 'taj' hum ne id manai tamam-raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.