ye laDka laDki koi masala samajh rahe hain
ye laḌkā laḌkī koī mas.ala samajh rahe haiñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ log kyā samajh rahe haiñ
hamāre mil ke bichhaḌne meñ us kā haath bhī thā
magar ye log mujhe hī burā samajh rahe haiñ
maiñ un ko paanī pilāne ke vāste khaḌā huuñ
jo mujh ko pyaas kā maarā huā samajh rahe haiñ
maiñ ḳhāmushī ko ibādat ke jaise jāntā huuñ
samajhne vaale mujhe kyā se kyā samajh rahe haiñ
gire huoñ kī ajab nafsiyāt hai 'bābar'
sab ek dūsre ko aasrā samajh rahe haiñ
ye laDka laDki koi masala samajh rahe hain
unhen KHabar hi nahin log kya samajh rahe hain
hamare mil ke bichhaDne mein us ka hath bhi tha
magar ye log mujhe hi bura samajh rahe hain
main un ko pani pilane ke waste khaDa hun
jo mujh ko pyas ka mara hua samajh rahe hain
main KHamushi ko ibaadat ke jaise jaanta hun
samajhne wale mujhe kya se kya samajh rahe hain
gire huon ki ajab nafsiyat hai 'babar'
sab ek dusre ko aasra samajh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.