ye lamha zist ka hai bas aaKHiri hai aur main hun
ye lamha zist ka hai bas aaKHiri hai aur main hun
Krishn Bihari Noor
MORE BYKrishn Bihari Noor
ye lamha ziist kā hai bas āḳhirī hai aur maiñ huuñ
har ek samt se ab vāpsī hai aur maiñ huuñ
hayāt jaise Thahar sī ga.ī ho ye hī nahīñ
tamām biitī huī zindagī hai aur maiñ huuñ
maiñ apne jism se bāhar huuñ aur hosh bhī hai
zamīñ pe sāmne ik ajnabī hai aur maiñ huuñ
vo koī ḳhvāb ho chāhe ḳhayāl yā sach ho
fazā meñ uḌtī huī chāñdnī hai aur maiñ huuñ
kisī maqām pe rukne ko jī nahīñ kartā
ajiib pyaas ajab tishnagī hai aur maiñ huuñ
akelā ishq hai hijr-o-visāl kuchh bhī nahīñ
bas ek ālam-e-dīvāngī hai aur maiñ huuñ
na lafz hai na sadā phir bhī kyā nahīñ vāzeh
kalām kartī huī ḳhāmushī hai aur maiñ huuñ
surūr-o-kaif kā aalam hadoñ ko chhūtā huā
ḳhudī kā nashsha hai kuchh āgahī hai aur maiñ huuñ
muqābil apne koī hai zarūr kaun hai vo
bisāt-e-dahr hai baazī bichhī hai aur maiñ huuñ
jahāñ na sukh kā hai ehsās aur na dukh kī kasak
usī maqām pe ab shā.irī hai aur maiñ huuñ
mire vajūd ko apne meñ jazb kartī huī
na.ī na.ī sī koī raushnī hai aur maiñ huuñ
jo chand lamhoñ meñ guzrā batā diyā sab kuchh
phir us ke ba.ad vahī zindagī hai aur maiñ huuñ
ye lamha zist ka hai bas aaKHiri hai aur main hun
har ek samt se ab wapsi hai aur main hun
hayat jaise Thahar si gai ho ye hi nahin
tamam biti hui zindagi hai aur main hun
main apne jism se bahar hun aur hosh bhi hai
zamin pe samne ek ajnabi hai aur main hun
wo koi KHwab ho chahe KHayal ya sach ho
faza mein uDti hui chandni hai aur main hun
kisi maqam pe rukne ko ji nahin karta
ajib pyas ajab tishnagi hai aur main hun
akela ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin
bas ek aalam-e-diwangi hai aur main hun
na lafz hai na sada phir bhi kya nahin wazeh
kalam karti hui KHamushi hai aur main hun
surur-o-kaif ka aalam hadon ko chhuta hua
KHudi ka nashsha hai kuchh aagahi hai aur main hun
muqabil apne koi hai zarur kaun hai wo
bisat-e-dahr hai bazi bichhi hai aur main hun
jahan na sukh ka hai ehsas aur na dukh ki kasak
usi maqam pe ab shairi hai aur main hun
mere wajud ko apne mein jazb karti hui
nai nai si koi raushni hai aur main hun
jo chand lamhon mein guzra bata diya sab kuchh
phir us ke baad wahi zindagi hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.