ye log jo rah rah ke dhuan phunk rahe hain
ye log jo rah rah ke dhuāñ phūñk rahe haiñ
kyā jāniye kyā soz-e-nihāñ phūñk rahe haiñ
sun kar na ho sanjīda ye ash'ār hamāre
ham log bas andar kā dhuāñ phūñk rahe haiñ
in sāñsoñ kī gardish meñ pata hī nahīñ chaltā
jaañ khīñch rahe haiñ ki ye jaañ phūñk rahe haiñ
rakhne the hameñ apne qadam phūñk ke so ab
rakkhe the jahāñ paañv vahāñ phūñk rahe haiñ
mushkil se to niklī thī mirī jaan badan se
kyoñ log mire siine meñ jaañ phūñk rahe haiñ
ye log jo rah rah ke dhuan phunk rahe hain
kya jaaniye kya soz-e-nihan phunk rahe hain
sun kar na ho sanjida ye ash'ar hamare
hum log bas andar ka dhuan phunk rahe hain
in sanson ki gardish mein pata hi nahin chalta
jaan khinch rahe hain ki ye jaan phunk rahe hain
rakhne the hamein apne qadam phunk ke so ab
rakkhe the jahan panw wahan phunk rahe hain
mushkil se to nikli thi meri jaan badan se
kyon log mere sine mein jaan phunk rahe hain
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 109)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.