ye log jo tujhe baad-e-saba nahin kahte
ye log jo tujhe bād-e-sabā nahīñ kahte
tū ham se pūchh tujhe dil meñ kyā nahīñ kahte
diloñ kī aag to kundan banāyā kartī hai
ham aisī aag ko ātish-kada nahīñ kahte
jo apne yaar se muḳhlis na ho vo mar jaa.e
ham aise log ise badduā nahīñ kahte
yahāñ pe ek aqīda hai aur vo Dar hai
yahāñ ke log ḳhudā ko ḳhudā nahīñ kahte
sarasvatī kī nazar hai hamārī ġhazloñ par
ham is yaqīn pe kuchh bhī burā nahīñ kahte
kahā to thā ki tumhārī bahut zarūrat hai
ham ek baat kabhī bārhā nahīñ kahte
to kyā vo āñkheñ tumheñ har jagah nahīñ dikhtīñ
bhaTaktī chiiz ko tum aatmā nahīñ kahte
ye be-hisī bhī to terī atā hai logoñ ko
jo tere zaḳhm ko terī sazā nahīñ kahte
tumhāre baad kashish hī nahīñ kisī shai meñ
kisī madār ko ham dā.era nahīñ kahte
ġhazal ke saath zamāne ke zaḳhm bhartā huuñ
ab is hunar ko bhī tum mo.ajiza nahīñ kahte
ye log jo tujhe baad-e-saba nahin kahte
tu hum se puchh tujhe dil mein kya nahin kahte
dilon ki aag to kundan banaya karti hai
hum aisi aag ko aatish-kada nahin kahte
jo apne yar se muKHlis na ho wo mar jae
hum aise log ise baddua nahin kahte
yahan pe ek aqida hai aur wo Dar hai
yahan ke log KHuda ko KHuda nahin kahte
saraswati ki nazar hai hamari ghazlon par
hum is yaqin pe kuchh bhi bura nahin kahte
kaha to tha ki tumhaari bahut zarurat hai
hum ek baat kabhi barha nahin kahte
to kya wo aankhen tumhein har jagah nahin dikhtin
bhaTakti chiz ko tum aatma nahin kahte
ye be-hisi bhi to teri ata hai logon ko
jo tere zaKHm ko teri saza nahin kahte
tumhaare baad kashish hi nahin kisi shai mein
kisi madar ko hum daera nahin kahte
ghazal ke sath zamane ke zaKHm bharta hun
ab is hunar ko bhi tum moajiza nahin kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.