ye lutf-o-karam ye qaul-o-qasam paiman-e-wafa se kya hasil
ye lutf-o-karam ye qaul-o-qasam paimān-e-vafā se kyā hāsil
ab kis kī tamanna hai ai dil kyoñ maut ke sāmāñ māñge hai
vo kaif meñ Duube shām-o-sahar vo ḳhuld-e-nazāra har manzar
vo guzrā zamāna biite din kyā kyā dil-e-nādāñ māñge hai
is gulshan-e-hastī se chhuTnā 'mumtāz' nahīñ āsāñ itnā
har kāñTā dāman khīñche hai har phuul garebāñ māñge hai
ye lutf-o-karam ye qaul-o-qasam paiman-e-wafa se kya hasil
ab kis ki tamanna hai ai dil kyon maut ke saman mange hai
wo kaif mein Dube sham-o-sahar wo KHuld-e-nazara har manzar
wo guzra zamana bite din kya kya dil-e-nadan mange hai
is gulshan-e-hasti se chhuTna 'mumtaz' nahin aasan itna
har kanTa daman khinche hai har phul gareban mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.