ye mah-pare to dil ko lubhae jate hain
ye māh-pāre to dil ko lubhā.e jaate haiñ
jo ġham ke maare haiñ dil ko gañvā.e jaate haiñ
shab-e-firāq ye ākāsh se ḳhabar aa.ī
ki ġham-nasīboñ se taare ginā.e jaate haiñ
hayāt kyā hai ki afsāna dard-nākī kā
fasāne dard ke har dam sunā.e jaate haiñ
jahān-e-kohna ho yā nau ye vo jahāñ hai jahāñ
tamāshe ġham ke hamesha dikhā.e jaate haiñ
agar haiñ harf-e-ġhalat kī tarah nahīñ ham log
jahāñ ke lauh se phir kyoñ miTā.e jaate haiñ
ajiib haal hai duniyā kī bazm kā 'ḳhurshīd'
qadam qadam pe yahāñ dil jalā.e jaate haiñ
ye mah-pare to dil ko lubhae jate hain
jo gham ke mare hain dil ko ganwae jate hain
shab-e-firaq ye aakash se KHabar aai
ki gham-nasibon se tare ginae jate hain
hayat kya hai ki afsana dard-naki ka
fasane dard ke har dam sunae jate hain
jahan-e-kohna ho ya nau ye wo jahan hai jahan
tamashe gham ke hamesha dikhae jate hain
agar hain harf-e-ghalat ki tarah nahin hum log
jahan ke lauh se phir kyon miTae jate hain
ajib haal hai duniya ki bazm ka 'KHurshid'
qadam qadam pe yahan dil jalae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.