ye man lo ki gham hai zaruri KHushi ke baad
ye maan lo ki ġham hai zarūrī ḳhushī ke baad
ik tīrgī kā daur hai is raushnī ke baad
ai dil ye iztirāb tire kaam aa.egā
mil jā.egā sukūn tujhe bekalī ke baad
jab tabsira kareñ vo mire vāqi.āt par
dīvāngī kī baat chhiḌe āgahī ke baad
duniyā sañvārnī hai to uqbā kī fikr kar
ik aur zindagī bhī hai is zindagī ke baad
ābād ho sakegā na saaqī kisī tarah
mai-ḳhāna-e-hayāt mirī mai-kashī ke baad
hosh-o-ḳhirad ke saath na dīvāngī chalī
paiġhām be-ḳhudī kā milā hai ḳhudī ke baad
dair-o-haram ke raaz se vāqif na thā bashar
irfān bandagī kā huā bandagī ke baad
dil zindagī ke naam se bezār ho gayā
ai jān-e-kā.enāt tirī be-ruḳhī ke baad
ye bazm-e-rang-o-bū hai jo ham se sajī huī
luT jā.egī ye bazm ghaḌī do ghaḌī ke baad
tum markaz-e-ḳhayāl ho tum markaz-e-nigāh
koī galī nahīñ hai tumhārī galī ke baad
tark-e-ta.alluqāt se zāhir huā 'nigār'
bantī hai dushmanī kī fazā dostī ke baad
ye man lo ki gham hai zaruri KHushi ke baad
ek tirgi ka daur hai is raushni ke baad
ai dil ye iztirab tere kaam aaega
mil jaega sukun tujhe bekali ke baad
jab tabsira karen wo mere waqiat par
diwangi ki baat chhiDe aagahi ke baad
duniya sanwarni hai to uqba ki fikr kar
ek aur zindagi bhi hai is zindagi ke baad
aabaad ho sakega na saqi kisi tarah
mai-KHana-e-hayat meri mai-kashi ke baad
hosh-o-KHirad ke sath na diwangi chali
paigham be-KHudi ka mila hai KHudi ke baad
dair-o-haram ke raaz se waqif na tha bashar
irfan bandagi ka hua bandagi ke baad
dil zindagi ke nam se bezar ho gaya
ai jaan-e-kaenat teri be-ruKHi ke baad
ye bazm-e-rang-o-bu hai jo hum se saji hui
luT jaegi ye bazm ghaDi do ghaDi ke baad
tum markaz-e-KHayal ho tum markaz-e-nigah
koi gali nahin hai tumhaari gali ke baad
tark-e-talluqat se zahir hua 'nigar'
banti hai dushmani ki faza dosti ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.