ye mana humne ye duniya anokhi hai nirali hai
ye mana humne ye duniya anokhi hai nirali hai
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
ye maanā ham ne ye duniyā anokhī hai nirālī hai
chalegī chaal kyā ham se hamārī dekhī-bhālī hai
'azīzo tum ko merī chashm-e-tar se kitnā shikva thā
chalo ab ḳhush raho apnā ye paimāna bhī ḳhālī hai
har ik ġham kā mudāvā ek be-mā'nī tabassum hai
mire dil kā bharosa kyā bahut hī lā-ubālī hai
kahīñ mahfil jamā.eñ ham bhī ab pīne-pilāne kī
ye kyā kam hai hamāre paas jo jām-e-sifālī hai
jo kuchh ahvāl hai apnā bayāñ karne se kyā hāsil
zabān-e-ḳhāmushī sāhab-diloñ kā tarz-e-'ālī hai
ye mana hum ne ye duniya anokhi hai nirali hai
chalegi chaal kya hum se hamari dekhi-bhaali hai
'azizo tum ko meri chashm-e-tar se kitna shikwa tha
chalo ab KHush raho apna ye paimana bhi KHali hai
har ek gham ka mudawa ek be-ma'ni tabassum hai
mere dil ka bharosa kya bahut hi la-ubaali hai
kahin mahfil jamaen hum bhi ab pine-pilane ki
ye kya kam hai hamare pas jo jam-e-sifali hai
jo kuchh ahwal hai apna bayan karne se kya hasil
zaban-e-KHamushi sahab-dilon ka tarz-e-'ali hai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 34)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.