ye mana hawadis ke dhaare bahut hain
ye maanā havādis ke dhāre bahut haiñ
agar hausla hai kināre bahut haiñ
rah-e-zindagī meñ chalo tum sambhal kar
samay ke tamāñche karāre bahut haiñ
talātum meñ ḳhud kho ga.e tum hī varna
kināre to tum ko pukāre bahut haiñ
nikal kar añdheroñ ke malbūs se dekho
yahāñ raushnī ke manāre bahut haiñ
kahīñ ye jalā deñ na chilman ko terī
mirī shā.irī meñ sharāre bahut haiñ
zarā fan ke ākāsh gañgā meñ dekheñ
'asar' aap jaise sitāre bahut haiñ
ye mana hawadis ke dhaare bahut hain
agar hausla hai kinare bahut hain
rah-e-zindagi mein chalo tum sambhal kar
samay ke tamanche karare bahut hain
talatum mein KHud kho gae tum hi warna
kinare to tum ko pukare bahut hain
nikal kar andheron ke malbus se dekho
yahan raushni ke manare bahut hain
kahin ye jala den na chilman ko teri
meri shairi mein sharare bahut hain
zara fan ke aakash ganga mein dekhen
'asar' aap jaise sitare bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.