ye mana kuchh yahan zaya nahin hai
ye maanā kuchh yahāñ zaayā nahīñ hai
magar vo mas.ala suljhā nahīñ hai
bhalā kaise mohabbat kar leñ jānāñ
huā kyā zaḳhm gar taaza nahīñ hai
mire aañsū tumhāre dil ke badle
mirī jaañ zindagī saudā nahīñ hai
baḌe chup-chāp rahne lag ga.e ho
zamāne ko abhī parkhā nahīñ hai
kahāñ se laa.e ho ye tishnagī tum
hamārī aañkh meñ dariyā nahīñ hai
chalo ab ḳhatm kar deñ ham ye rishta
hadoñ ko toḌnā achchhā nahīñ hai
ye mana kuchh yahan zaya nahin hai
magar wo masala suljha nahin hai
bhala kaise mohabbat kar len jaanan
hua kya zaKHm gar taza nahin hai
mere aansu tumhaare dil ke badle
meri jaan zindagi sauda nahin hai
baDe chup-chap rahne lag gae ho
zamane ko abhi parkha nahin hai
kahan se lae ho ye tishnagi tum
hamari aankh mein dariya nahin hai
chalo ab KHatm kar den hum ye rishta
hadon ko toDna achchha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.