ye mana nindon se aksar fareb khate rahe
ye maanā nīñdoñ se aksar fareb khāte rahe
hamāre ḳhvāb magar phir bhī jagmagāte rahe
vo saada log kahīñ ab nazar nahīñ aate
jo dūsroñ ke liye rāsta banāte rahe
ka.ī sitāre jinheñ āsmāñ satātā rahā
unheñ zamīn pe lā kar hamīñ sajāte rahe
hamīñ ne lamhoñ ko yakjā kiyā to raat huī
hamīñ bikher ke lamhoñ ko din banāte rahe
farishtoñ jaise hī hote haiñ tajrbe 'dānish'
tamām 'umr hamīñ rāsta batāte rahe
ye mana nindon se aksar fareb khate rahe
hamare KHwab magar phir bhi jagmagate rahe
wo sada log kahin ab nazar nahin aate
jo dusron ke liye rasta banate rahe
kai sitare jinhen aasman satata raha
unhen zamin pe la kar hamin sajate rahe
hamin ne lamhon ko yakja kiya to raat hui
hamin bikher ke lamhon ko din banate rahe
farishton jaise hi hote hain tajrbe 'danish'
tamam 'umr hamin rasta batate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.