ye mana nirali teri aashiqi hai
ye maanā nirālī tirī 'āshiqī hai
par anjām is kā vahī thā vahī hai
ye kaisā hai manzar ye kaise shajar haiñ
na jaane kahāñ 'āshiqī le chalī hai
maiñ tanhā jiyūñ yā ki darvāza kholūñ
mire dar pe merī javānī khaḌī hai
maiñ jo aag dil meñ liye jī rahā thā
vo aag aaj in āñsuoñ se bujhī hai
isī aas meñ ham jiye jā rahe haiñ
añdheroñ se aage bhī ik raushnī hai
mire āñsuoñ se bane haiñ ye sharbat
mire ḳhuun se terī Dolī sajī hai
zarā der legā ye dil phir khulegā
ye taalā purānā hai chābī na.ī hai
maiñ huuñ miil kā ek patthar jise ab
haTāne pe saarī hī duniyā tulī hai
ye mana nirali teri 'ashiqi hai
par anjam is ka wahi tha wahi hai
ye kaisa hai manzar ye kaise shajar hain
na jaane kahan 'ashiqi le chali hai
main tanha jiyun ya ki darwaza kholun
mere dar pe meri jawani khaDi hai
main jo aag dil mein liye ji raha tha
wo aag aaj in aansuon se bujhi hai
isi aas mein hum jiye ja rahe hain
andheron se aage bhi ek raushni hai
mere aansuon se bane hain ye sharbat
mere KHun se teri Doli saji hai
zara der lega ye dil phir khulega
ye tala purana hai chabi nai hai
main hun mil ka ek patthar jise ab
haTane pe sari hi duniya tuli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.