ye mana tum ho zamane ke ba-kamalon mein
ye maanā tum ho zamāne ke bā-kamāloñ meñ
to ham bhī ḳhud ko samajhte haiñ be-misāloñ meñ
vafā kā naam nahīñ shahr ke ġhazāloñ meñ
milegā zahr yahāñ mad-bhare piyāloñ meñ
mahak uThā hai mirī aarzū kā shīsh-mahal
ye kaun aa ke basā hai mire ḳhayāloñ meñ
hamāre paas thā har baat kā javāb magar
ulajh ke rah ga.e ham aap ke savāloñ meñ
ham un ke hañsne kā andāz kyā kaheñ 'sumbul'
ki jaise duur bajeñ ghanTiyāñ shivāloñ meñ
ye mana tum ho zamane ke ba-kamalon mein
to hum bhi KHud ko samajhte hain be-misalon mein
wafa ka nam nahin shahr ke ghazalon mein
milega zahr yahan mad-bhare piyalon mein
mahak uTha hai meri aarzu ka shish-mahal
ye kaun aa ke basa hai mere KHayalon mein
hamare pas tha har baat ka jawab magar
ulajh ke rah gae hum aap ke sawalon mein
hum un ke hansne ka andaz kya kahen 'sumbul'
ki jaise dur bajen ghanTiyan shiwalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.