ye mayusi kahin wajh-e-sukun-e-dil na ban jae
ye mayusi kahin wajh-e-sukun-e-dil na ban jae
Chiragh Hasan Hasrat
MORE BYChiragh Hasan Hasrat
ye māyūsī kahīñ vaj.h-e-sukūn-e-dil na ban jaa.e
ġham-e-be-hāsilī hī ishq kā hāsil na ban jaa.e
madad ai jazb-e-dil rāh-e-mohabbat saḳht mushkil hai
ḳhayāl-e-dūri-e-manzil kahīñ manzil na ban jaa.e
nahīñ hai dil to kyā pahlū meñ halkī sī ḳhalish to hai
ye halkī sī ḳhalish hī rafta rafta dil na ban jaa.e
hujūm-e-shauq aur rāh-e-mohabbat kī balā-ḳhezī
kahīñ pahlā qadam hī āḳhirī manzil na ban jaa.e
ye mayusi kahin wajh-e-sukun-e-dil na ban jae
gham-e-be-hasili hi ishq ka hasil na ban jae
madad ai jazb-e-dil rah-e-mohabbat saKHt mushkil hai
KHayal-e-duri-e-manzil kahin manzil na ban jae
nahin hai dil to kya pahlu mein halki si KHalish to hai
ye halki si KHalish hi rafta rafta dil na ban jae
hujum-e-shauq aur rah-e-mohabbat ki bala-KHezi
kahin pahla qadam hi aaKHiri manzil na ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.