ye mahakte hue jazbaat ye ashaar ke phul
ye mahakte hue jazbāt ye ash.ār ke phuul
kaash kaam aa.eñ kisī ke mire afkār ke phuul
mere dil ne jo sajā rakkhe haiñ zaḳhmoñ kī tarah
khil na paa.e kisī gulshan meñ vo me.aar ke phuul
sūñghtī haiñ unheñ ḳhush ho ke bahishtī hūreñ
sarfaroshoñ ke badan par haiñ jo talvār ke phuul
ye mire ashk-e-nadāmat haiñ ḳhudā ko mahbūb
duniyā vāloñ kī nigāhoñ meñ haiñ be-kār ke phuul
mujh ko tohfe meñ atā us ne kiye haiñ 'hāfiz'
kabhī inkār ke kāñTe kabhī iqrār ke phuul
ye mahakte hue jazbaat ye ashaar ke phul
kash kaam aaen kisi ke mere afkar ke phul
mere dil ne jo saja rakkhe hain zaKHmon ki tarah
khil na pae kisi gulshan mein wo mear ke phul
sunghti hain unhen KHush ho ke bahishti huren
sarfaroshon ke badan par hain jo talwar ke phul
ye mere ashk-e-nadamat hain KHuda ko mahbub
duniya walon ki nigahon mein hain be-kar ke phul
mujh ko tohfe mein ata us ne kiye hain 'hafiz'
kabhi inkar ke kanTe kabhi iqrar ke phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.